Subscribe:

Showing posts with label Sher O Shayari. Show all posts
Showing posts with label Sher O Shayari. Show all posts

Kitna Mushkil Hai | Dard Shayari | Dil Se Shayari


Kitna Mushkil Hai

Kitna Mushkil Hai...

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat, Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Tum Dunya Ki Shedai Ho, Main Sapnoon Ka Bashinda
Sath Humain Yuhn Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai

Main Kahan Hoon ??


Nahin ye Jaanta k main Kahan Hoon?
magar Tu Jahaa hai main Wahan hoon

Meri Pehchaan hai tera Hawala
Tujhe kho Doon toh main b be-nishaan hoon

Mujhe Tehleel kar dega ye Tufaan
Meri Auqat kya ? main toh Dhuwa dhuwa hoon

YAAR JO BHI MILA


Yaar jo b mila dil jala kar gya
Khaak main meri hasthi mila kar gya

Pyaas jiski sada main bhujatha raha
Zahere-kaatil mujhe wo pila kar gya

Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh b jigar per chala kar gya

KYA NAAM DU ISS RISHTE KO TERE | Ghazals | Shayari | Poems


Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin...
dil kehta hai k hai ye bahut purana rishta
wahi rishta...

jo chand ka hai chandni se...
sitaaro ka hai aasma se...
samunder ka hai gehraI se..
jism ka hai aatma se..
phoolo ka hai khushbu se..
suraj ka hai roshni se..

Ashq.....


written by a close friend of mine.... worth reading!!!!
ashq...

ek ashq ne dil kii dastaan bataani chaahi....
jab jubaan khamosh rahi to woh baat kahani chaahi...
saare armaano ko apnii bahon mein sametaa....
fir palkon pe dheere se kaamptaa saa kadam rakhaa......

Related Posts