Subscribe:

Showing posts with label Arz Kiya Hai. Show all posts
Showing posts with label Arz Kiya Hai. Show all posts

Ashq.....


written by a close friend of mine.... worth reading!!!!
ashq...

ek ashq ne dil kii dastaan bataani chaahi....
jab jubaan khamosh rahi to woh baat kahani chaahi...
saare armaano ko apnii bahon mein sametaa....
fir palkon pe dheere se kaamptaa saa kadam rakhaa......

New Sad Shayari


Aaj unko maine KHAFA kar diya,
aisa laga jaise khud se daga kar diya,
unhe kaise manaau sochte rahe din bhar,
aaj aansuo ne bhi aane se mana kar diya.

Latest Dosti Shayari


Tere Dosti Hum Is Taraha Nibhyege.
tum Roj Khafa Hona, Hum Roj Manayange.
Par Maan Jana Manane Se Verna Ye
Bheegi Palke Leke Kahan Jayange.

Latest Dard Shayari


Pyar wafa sab kuch mita diya hota,
Uska naam tak bhula diya hota,
Agar tasvir uski dil me na hoti,
To kasam se ae DOSTO khud ko
bhi jala diya hota.

Sher O Shayari


mere jine k liye tere arman he kafi h,
dil ki ye dastan he kafi h,
teer-e-talwar ki tujhe kya zarrurat ae nazneen,
Qatal krne k liye teri muskan he kafi h.

Latest Shayari


Es kadar hum yaar ko manane nikle,
uski chahat ke hum diwane nikle,
jab bhi usse dil ka haal batana chaha,
to uske hothon se waqt na hone k bahane nikle.

Shayari(New)


Usne yeh soch kar hame alvida keh diya
"Galib"
Gareeb log hai mohabbat ya hamdardi
k siwa kya denge....

funny shayari:


Mehboba ke pyar me mar gaya peter
Mehboba ke pyar me mar gaya peter
New Hero Honda Splender 80km. Per Litre.

Sad Sher O Shayari


Aur Bhi Bahut Si Cheejen,
Lutt Chuki Hain, Is Dil Ke Saath,
Ye Bataya Doston Ne Ishq Fermaane Ke Baad,
Har Ek Cheej Me Farak Dekhta Hun Ab Main,
Ek Tere Aane Se Pehle,
Ek Tere Jaane Ke Baad.

Switched Off


Na jeene ki tammana Na marne ka Khoof
Na jeene ki tammana Na marne ka Khoof
The subscriber is currently switched Off.

Dial *123#


Teri adaoon pe m wari-wari
Teri adaoon pe m wari-wari
Dial *123# for balance enquiry.

Teri yad aayi !!!!


Fir huyi halchal Fir teri yad aayi,
fir nikla chand, fir suhani raat ayi,
Iss raat ki gehrayi me kho ja,
Zyada khush mat ho batti bujha or so ja!
GOOD NIGHT

Har ghadi...


Har ghadi intzaar vich gujri
Usde baad usdi yaad vich gujri
Me ek phool han oh mainu rakh k bhul gayi
Meri sari umar usdi kitaaab vich gujri..

Aapki ankhe...


Aapki ankhe jheel jaisi pyari hain
Aapki ankhe jheel jaisi pyari hain
Jee chahta hai ki inme machhliya
chod du ><(((:> ><(((:>
><(((:> ><(((:> ><(((:>

Zaruri to nahi..


Pyar kar k koi jataye zaruri to nahi
Yaad kar k koi bataye zaruri to nahi
Rone wale to dil me ro lete hain
Ankho me aansu aaye zaruri to nahi..

-Bewafa Shayari-


Unko pyar karne ka hisab na aaya
Meri kisi ki baat ka jawab na aaya
Hum to jagte rahe unke he khayalo me
Aur unko so kar bhi hamara khawab na aaya

Aaj bhi ek sawal..??


Aaj bhi ek sawal hai is dil me,
pyar ka gam beshumar he is dil me,
kuch keh nahi pata ye dil magar,
kisike liye bahut pyar he is DIL me.

Fariyad kar k roye..


Uski baaton ko baar-2 yaad kar k roye,
Uske liye dar pe fariyad kar k roye,
Uski khushi k liye use chhod diya,
phir uski he kami ka ehsaas kar k roye.

Lekar dil....


Lekar dil waapas kiya nai jata
Yu nazuk dil ko jakhm diya nai jata,
Sach much ye duniya badi zalim he,
SMS saste he firbhi logo se kiya nai jata.

zindagi k melay mein....


zindagi k melay mein khuahishon k relay mein
tum say kya kahain jana is kadar jhamailay mein

waqt ki rawani hai bakht ki garani hai
sakh be zameeny hai sakht la makani hai

hijer k samander mein
takht aur takhtay ki aik hi kahani hai

Related Posts